Zindagi ek dard
jise sahna mushkil,
zindagi ek kannte ke muafik,
jiski chubhan
har lamha, ek nayee
manzil ki or
chalne ka ahsas karati......
(1984)
Zindagi mein insaan ko na jaane
Kitni rahon se guzarna padta hai
Wo sangdil rahein , wo mushkilein ,wo shak ki nighaein
Aur phir;
Unse peecha chudhao bhi to
Ek baar phir
Usi modh pe jake pahunch jaata hai
Wo khamoshi , wo intazaari ,wo raahtaki .
(1984)
Do pal ki zindagi
ek pal ki intzaari
bacha samay
samajhne samjhaane mein .
(1984)
Muhabbhat , ekraar ,pyaar
ek ahsaas , alag- alag naam
ek roop , alag- alag rang,
kisi ko khokar ho;
Ya -
kisi ko apna kar.
(1984)
Reh gayeen bateein , beeti bateein ,
chulbuli bateein , wo mutmayeen rateein ,
guzre pal , khamosh pal ,
har pal ,kal - kal ,
Toota tasubur , bhikhri yadeein
Adhoori bateein , ankahi rateein .
(1984)
Zindagi mein ek thokar lagi
Aaeeyana choor-choor gaya
Chehra surkh lahoo jum sa gaya
Aaj wo arz kartein hain,
Hum paraye hue,
Aaj humko hi hamara sabab mil gaya .
(1991)
Wo bachpan ki yaadein
wo machalna , ithlana
Yaad aa aa jaata hai
Apne paraye ho jaane ke sath -sath.
(1991)
Kash ! wo kuch to sochte
apne hee dastkaari numayinde
ko paraye karne se pehle .
(1991)
No comments:
Post a Comment